ab koi dost to aisa bhi banaya jaaye
jis ko har ranj-o-museebat mein bulaaya jaaye
tod dale hain zamaane se maraasim saare
haal-e-dil kis se kahein kis ko sunaaya jaaye
main ne karne hai sitaaron se koi raaz ki baat
abhi kuchh aur mere qad ko badhaaya jaaye
jis ki fitrat mein ho bas ek khuda ki pooja
aisi mitti se koi but na banaya jaaye
अब कोई दोस्त तो ऐसा भी बनाया जाए
जिस को हर रंज-ओ-मुसीबत में बुलाया जाए
तोड़ डाले हैं ज़माने से मरासिम सारे
हाल-ए-दिल किस से कहें किस को सुनाया जाए
मैं ने करनी है सितारों से कोई राज़ की बात
अभी कुछ और मिरे क़द को बढ़ाया जाए
जिस की फ़ितरत में हो बस एक ख़ुदा की पूजा
ऐसी मिट्टी से कोई बुत न बनाया जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Waqas Mahrwi
our suggestion based on Ahmad Waqas Mahrwi
As you were reading Ibaadat Shayari Shayari