aseer-e-ishq hoon dard-e-nihaan sone nahin deta | असीर-ए-इश्क़ हूँ दर्द-ए-निहाँ सोने नहीं देता

  - Ahmad Waqas Mahrwi

aseer-e-ishq hoon dard-e-nihaan sone nahin deta
mujhe dasti hai tanhaai makaan sone nahin deta

jo bakshe the bahaaron ne abhi vo zakham taaza hain
ki boo-e-gul tilism-e-gulsitaan sone nahin deta

mujhe aafaq ki sab manzilen taskheer karne hain
yahi josh-e-junoon azm-e-javaan sone nahin deta

na vo sochon se utarega na aankhen chain paaye'ngi
khayaal-e-paikar-e-husn-e-butaa sone nahin deta

असीर-ए-इश्क़ हूँ दर्द-ए-निहाँ सोने नहीं देता
मुझे डसती है तन्हाई मकाँ सोने नहीं देता

जो बख़्शे थे बहारों ने अभी वो ज़ख़्म ताज़ा हैं
कि बू-ए-गुल तिलिस्म-ए-गुलसिताँ सोने नहीं देता

मुझे आफ़ाक़ की सब मंज़िलें तस्ख़ीर करनी हैं
यही जोश-ए-जुनूँ अज़्म-ए-जवाँ सोने नहीं देता

न वो सोचों से उतरेगा न आँखें चैन पाएँगी
ख़याल-ए-पैकर-ए-हुस्न-ए-बुताँ सोने नहीं देता

  - Ahmad Waqas Mahrwi

Alone Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Waqas Mahrwi

As you were reading Shayari by Ahmad Waqas Mahrwi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Waqas Mahrwi

Similar Moods

As you were reading Alone Shayari Shayari