maut hai aur maut ke khudshaat hain
sansanee hai an-dikhe khudshaat hain
khauf faila hai vaba ke roop mein
qaryaa qaryaa pal rahe khudshaat hain
gar koi tiryaaq hai vo hai yaqeen
zahar ki soorat liye khudshaat hain
is sadi ke aadmi to hain khuda
tu ne hi paida kiye khudshaat hain
dayra dar dayra tashkeek hai
be-tarah phaile hue khudshaat hain
tujh mein himmat hai to in ko maat de
ai naye insaan naye khudshaat hain
vo gali ke mod par hai muntazir
dar raha hoon main mere khudshaat hain
मौत है और मौत के ख़दशात हैं
सनसनी है अन-दिखे ख़दशात हैं
ख़ौफ़ फैला है वबा के रूप में
क़र्या क़र्या पल रहे ख़दशात हैं
गर कोई तिरयाक़ है वो है यक़ीं
ज़हर की सूरत लिए ख़दशात हैं
इस सदी के आदमी तो हैं ख़ुदा
तू ने ही पैदा किए ख़दशात हैं
दायरा दर दायरा तश्कीक है
बे-तरह फैले हुए ख़दशात हैं
तुझ में हिम्मत है तो इन को मात दे
ऐ नए इंसाँ नए ख़दशात हैं
वो गली के मोड़ पर है मुंतज़िर
डर रहा हूँ मैं मिरे ख़दशात हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Waqas Mahrwi
our suggestion based on Ahmad Waqas Mahrwi
As you were reading Khudkushi Shayari Shayari