zindagi mein maza nahin hai
pyaar mein gar pada nahin hai
vasl ke khwaab maaf kijeye
aisi kismat ayaan nahin hai
mujhse kya leke jaaoge tum
mujhmein to kuchh bacha nahin hai
naam se jee uthata hai ye tere
dil abhi tak mara nahin hai
vo mohabbat mein kho chuka hai
ab vo itna tavaan nahin hai
bas talabgaar hoon nashe ka
aur to kuchh bura nahin hai
aapse jalta hoon mai lekin
mere dil mein kina nahin hai
kyun mohabbat karoon main tumse
mujhko hona fana nahin hai
kya kaha ishq ho gaya hai
ismein meri khata nahin hai
tum bhi karlo yakeen mujhpe
mujhmein bilkul wafa nahin hai
zindagi se khafa hoon mai to
zindagi kyun khafa nahin hai
saamne aake tadpa mujhko
hijr mein vo maza nahin hai
isse ziyaada chhupaaoon kaise
tujhse kuchh bhi chhupa nahin hai
vo bhi mohtaaj pyaar ka hai
faiz yaaron khuda nahin hai
ज़िन्दगी में मज़ा नहीं है
प्यार में गर पड़ा नहीं है
वस्ल के ख्वाब? माफ़ कीजे
ऐसी किस्मत अयां नहीं है
मुझसे क्या लेके जाओगे तुम
मुझमें तो कुछ बचा नहीं है
नाम से जी उठता है ये तेरे
दिल अभी तक मरा नहीं है
वो मोहब्बत में खो चुका है
अब वो इतना तवां नहीं है
बस तलबगार हूं नशे का
और तो कुछ बुरा नहीं है
आपसे जलता हूं मै लेकिन
मेरे दिल में किना नहीं है
क्यूं मोहब्बत करूं मैं तुमसे
मुझको होना फना नहीं है
क्या कहा इश्क़ हो गया है
इसमें मेरी खता नहीं है
तुम भी करलो यकीन मुझपे
मुझमें बिल्कुल वफा नहीं है
ज़िन्दगी से खफा हूं मै तो
ज़िन्दगी क्यूं खफा नहीं है
सामने आके तड़पा मुझको
हिज्र में वो मज़ा नहीं है
इससे ज़्यादा छुपाऊं कैसे
तुझसे कुछ भी छुपा नहीं है
वो भी मोहताज प्यार का है
फ़ैज़ यारों ख़ुदा नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faiz Ahmad
our suggestion based on Faiz Ahmad
As you were reading Kismat Shayari Shayari