dil mein eimaan to hai jazba-e-imaan na sahi | दिल में ईमान तो है जज़्बा-ए-ईमाँ न सही - Ahsan Aazmi

dil mein eimaan to hai jazba-e-imaan na sahi
hum musalmaan to hain shaan-e-muslamaan na sahi

rab ki rahmat ka sahaara hi humein kaafi hai
aaj duniya mein koi apna nigahbaan na sahi

teen sau terah ne ye badr mein paighaam diya
azm-o-imaan hai to jang ka saamaan na sahi

hum to hain aaj bhi tazain-e-gulistaan mein shareek
apne haathon mein nahin nazm-e-gulistaan na sahi

aslahon ki mere qaateel ko zaroorat kya hai
teer-e-mizgaan hai bahut khanjar-o-paikan na sahi

main ne palkon pe saja rakhe hain ashkon ke charaagh
mere toote hue chappar mein charaaghaan na sahi

maal-o-zar paas nahin tosha-e-ulfat ke siva
koi samaan to hai zeest ka saamaan na sahi

aaj ki shab kisi bhooke ki ziyaafat kar de
ghar mein tere nahin ahsan koi mehmaan na sahi

दिल में ईमान तो है जज़्बा-ए-ईमाँ न सही
हम मुसलमान तो हैं शान-ए-मुसलमाँ न सही

रब की रहमत का सहारा ही हमें काफ़ी है
आज दुनिया में कोई अपना निगहबाँ न सही

तीन सौ तेरह ने ये बद्र में पैग़ाम दिया
अज़्म-ओ-ईमान है तो जंग का सामाँ न सही

हम तो हैं आज भी तज़ईन-ए-गुलिस्ताँ में शरीक
अपने हाथों में नहीं नज़्म-ए-गुलिस्ताँ न सही

असलहों की मिरे क़ातिल को ज़रूरत क्या है
तीर-ए-मिज़्गाँ है बहुत ख़ंजर-ओ-पैकाँ न सही

मैं ने पलकों पे सजा रक्खे हैं अश्कों के चराग़
मेरे टूटे हुए छप्पर में चराग़ाँ न सही

माल-ओ-ज़र पास नहीं तोशा-ए-उल्फ़त के सिवा
कोई सामान तो है ज़ीस्त का सामाँ न सही

आज की शब किसी भूके की ज़ियाफ़त कर दे
घर में तेरे नहीं 'अहसन' कोई मेहमाँ न सही

- Ahsan Aazmi
0 Likes

Inquilab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahsan Aazmi

As you were reading Shayari by Ahsan Aazmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahsan Aazmi

Similar Moods

As you were reading Inquilab Shayari Shayari