nafrat ke andheron ko mita kyun nahin dete | नफ़रत के अँधेरों को मिटा क्यों नहीं देते - Ahsan Aazmi

nafrat ke andheron ko mita kyun nahin dete
lau sham-e-mohabbat ki badha kyun nahin dete

chaahat hai agar amn ki ai amn ke khugar
deewaar ta'assub ki gira kyun nahin dete

kyun karte ho khun adl ka mansab ki ihaanat
munsif ho to mujrim ko saza kyun nahin dete

ai rahbaro tum jaise ho guftaar mein yaktaa
kirdaar ka sikka bhi bitha kyun nahin dete

taarik si futuhaat ka armaan agar hai
saahil pe safeene ko jala kyun nahin dete

bante ho jo tum uswa-e-aslaaf ke pairav
dushnaam-taraazon ko dua kyun nahin dete

saf mein jo adoo soorat-e-ahbaab hain un ke
chehron se hijaabaat utha kyun nahin dete

kyun jaate ho tum mujh ko lagaate hue thokar
patthar hoon to raaste se hata kyun nahin dete

ahsan tumhein paana hai jo meraaj-e-bulandi
sar rab ke huzoor apna jhuka kyun nahin dete

नफ़रत के अँधेरों को मिटा क्यों नहीं देते
लौ शम-ए-मोहब्बत की बढ़ा क्यों नहीं देते

चाहत है अगर अम्न की ऐ अम्न के ख़ूगर
दीवार तअ'स्सुब की गिरा क्यों नहीं देते

क्यों करते हो ख़ूँ अद्ल का मंसब की इहानत
मुंसिफ़ हो तो मुजरिम को सज़ा क्यों नहीं देते

ऐ रहबरो तुम जैसे हो गुफ़्तार में यकता
किरदार का सिक्का भी बिठा क्यों नहीं देते

तारिक़ सी फ़ुतूहात का अरमान अगर है
साहिल पे सफ़ीने को जला क्यों नहीं देते

बनते हो जो तुम उस्वा-ए-अस्लाफ़ के पैरव
दुश्नाम-तराज़ों को दुआ क्यों नहीं देते

सफ़ में जो अदू सूरत-ए-अहबाब हैं उन के
चेहरों से हिजाबात उठा क्यों नहीं देते

क्यों जाते हो तुम मुझ को लगाते हुए ठोकर
पत्थर हूँ तो रस्ते से हटा क्यों नहीं देते

'अहसन' तुम्हें पाना है जो मेराज-ए-बुलंदी
सर रब के हुज़ूर अपना झुका क्यों नहीं देते

- Ahsan Aazmi
0 Likes

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahsan Aazmi

As you were reading Shayari by Ahsan Aazmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahsan Aazmi

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari