shikwa-e-gham na masaib ka gila karte hain | शिकवा-ए-ग़म न मसाइब का गिला करते हैं - Ahsan Aazmi

shikwa-e-gham na masaib ka gila karte hain
rab ka har haal mein hum shukr ada karte hain

vo ibadat nahin karte hain riya karte hain
jo dikhaave ke liye zikr-e-khuda karte hain

ma'arifat ishq ki ho jaati hai jin ko haasil
sajda-e-shauq vo tegaon mein ada karte hain

khatm hogi na kabhi haq ke charaagon ki ziya
ye diye tund hawa mein bhi jala karte hain

apne begaane ki tafriq nahin un ka shi'aar
jo bhale log hain vo sab ka bhala karte hain

vo bhi mujrim hain barabar ke sitamgar ki tarah
har sitam sah ke jo khaamosh raha karte hain

jab laga rog mohabbat ka to mehsoos hua
log kyun ishq ko aazaar kaha karte hain

haq-bayaani hai agar jurm to hum hain mujrim
zulm se ladna khata hai to khata karte hain

husn paida karo kirdaar-o-amal mein apne
gair ko dekho na ahsan ki vo kya karte hain

शिकवा-ए-ग़म न मसाइब का गिला करते हैं
रब का हर हाल में हम शुक्र अदा करते हैं

वो इबादत नहीं करते हैं रिया करते हैं
जो दिखावे के लिए ज़िक्र-ए-ख़ुदा करते हैं

मा'रिफ़त इश्क़ की हो जाती है जिन को हासिल
सज्दा-ए-शौक़ वो तेग़ों में अदा करते हैं

ख़त्म होगी न कभी हक़ के चराग़ों की ज़िया
ये दिए तुंद हवा में भी जला करते हैं

अपने बेगाने की तफ़रीक़ नहीं उन का शिआ'र
जो भले लोग हैं वो सब का भला करते हैं

वो भी मुजरिम हैं बराबर के सितमगर की तरह
हर सितम सह के जो ख़ामोश रहा करते हैं

जब लगा रोग मोहब्बत का तो महसूस हुआ
लोग क्यों इश्क़ को आज़ार कहा करते हैं

हक़-बयानी है अगर जुर्म तो हम हैं मुजरिम
ज़ुल्म से लड़ना ख़ता है तो ख़ता करते हैं

हुस्न पैदा करो किरदार-ओ-अमल में अपने
ग़ैर को देखो न 'अहसन' कि वो क्या करते हैं

- Ahsan Aazmi
0 Likes

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahsan Aazmi

As you were reading Shayari by Ahsan Aazmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahsan Aazmi

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari