main khud ko ek gadde mein kyun daba raha hoon
ik phool ke liye khud mitti bana raha hoon
maaloom hai mujhe vo bacchi nahin hai phir bhi
main jaan bujh kar ke sar par chadha raha hoon
jis phool mein meri kul duniya rachi-basi hai
us ke liye main dil mein suraj ugaa raha hoon
koi nahin mila jab is bhor ke samay mein
so main bhi kranti ko kambal mein sula raha hoon
us ke makaan mein jis se raushni hui hai
us lamp mein main apna hi khoon pa raha hoon
मैं ख़ुद को एक गड्ढे में क्यूँ दबा रहा हूँ
इक फूल के लिए ख़ुद मिट्टी बना रहा हूँ
मालूम है मुझे वो बच्ची नहीं है फिर भी
मैं जान बूझ कर के सर पर चढ़ा रहा हूँ
जिस फूल में मिरी कुल दुनिया रची-बसी है
उस के लिए मैं दिल में सूरज उगा रहा हूँ
कोई नहीं मिला जब इस भोर के समय में
सो मैं भी क्रांति को कम्बल में सुला रहा हूँ
उस के मकान में जिस से रौशनी हुई है
उस लैम्प में मैं अपना ही खून पा रहा हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ajit Yadav
our suggestion based on Ajit Yadav
As you were reading Mehboob Shayari Shayari