jab main apno ki hi mehfil mein bulaaya na gaya | जब मैं अपनो की ही महफ़िल में बुलाया ना गया - ''Akbar Rizvi''

jab main apno ki hi mehfil mein bulaaya na gaya
mujhse vo lamha to hargiz bhi bhulaaya na gaya

darde dil poocha tha ek shakhs ne aakar mujhse
jab sunaane laga to mujhse sunaaya na gaya

us zameendar ki daulat pa khuda ho laanat
jisse ek bhooke ko khaana bhi khilaaya na gaya

jism se aati hai mere jo ghareebi ki mahak
isliye eed ko seene se lagaaya na gaya

mulk ka khud ko nigahbaan jo tu kehta hai
tujhse ek jalta hua ghar bhi bachaaya na gaya

is qadar khoon mein dooba tha jigar ka tukda
maa se aaghosh mein bacche ko litaaya na gaya

aakhri waqt bhi maqtool ne maanga paani
aur qaateel se use aab pilaaya na gaya

ungliyan jisse uthaaye na zamaana akbar
tujhse kirdaar abhi aisa banaya na gaya

जब मैं अपनो की ही महफ़िल में बुलाया ना गया
मुझसे वो लम्हा तो हरगिज़ भी भुलाया ना गया

दर्दे दिल पूछा था एक शख़्स ने आकर मुझसे
जब सुनाने लगा तो मुझसे सुनाया न गया

उस ज़मींदार की दौलत पा ख़ुदा हो लानत
जिससे एक भूके को खाना भी खिलाया न गया

जिस्म से आती है मेरे जो ग़रीबी की महक
इसलिए ईद को सीने से लगाया न गया

मुल्क़ का ख़ुद को निगहबान जो तू कहता है
तुझसे एक जलता हुआ घर भी बचाया न गया

इस क़दर ख़ून में डूबा था जिगर का टुकड़ा
माँ से आग़ोश में बच्चे को लिटाया न गया

आख़री वक़्त भी मक़तूल ने माँगा पानी
और क़ातिल से उसे आब पिलाया न गया

उंगलियाँ जिससे उठाये न ज़माना अकबर
तुझसे किरदार अभी ऐसा बनाया न गया

- ''Akbar Rizvi''
3 Likes

Paani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by ''Akbar Rizvi''

As you were reading Shayari by ''Akbar Rizvi''

Similar Writers

our suggestion based on ''Akbar Rizvi''

Similar Moods

As you were reading Paani Shayari Shayari