band honton se bhi izhaar-e-tamannaa karte | बंद होंटों से भी इज़्हार-ए-तमन्ना करते

  - Akhtar Azad

band honton se bhi izhaar-e-tamannaa karte
aaina ban ke tire husn ko dekha karte

apna saaya bhi yahan gair nazar aata hai
ajnabi shehar mein ham kis pe bharosa karte

us ki mehfil mein to ik bheed thi deewaanon ki
pehle dil ahl-e-nazar ahl-e-wafa kya karte

ishq har haal mein paaband-e-wafa hota hai
ham to badnaam the kyun aap ko rusva karte

itni guzri hai jahaan aur guzar jaayegi
zindagi ke liye itna nahin socha karte

jab talak saans chale bas yun hi chalte rahiye
chal ke do-chaar qadam yun nahin thehra karte

ai khuda ham tiri wahdat pe yaqeen rakhte hain
kyun tire dar ke siva ham kahi sajda karte

बंद होंटों से भी इज़्हार-ए-तमन्ना करते
आइना बन के तिरे हुस्न को देखा करते

अपना साया भी यहाँ ग़ैर नज़र आता है
अजनबी शहर में हम किस पे भरोसा करते

उस की महफ़िल में तो इक भीड़ थी दीवानों की
पहले दिल अहल-ए-नज़र अहल-ए-वफ़ा क्या करते

इश्क़ हर हाल में पाबंद-ए-वफ़ा होता है
हम तो बदनाम थे क्यूँ आप को रुस्वा करते

इतनी गुज़री है जहाँ और गुज़र जाएगी
ज़िंदगी के लिए इतना नहीं सोचा करते

जब तलक साँस चले बस यूँ ही चलते रहिए
चल के दो-चार क़दम यूँ नहीं ठहरा करते

ऐ ख़ुदा हम तिरी वहदत पे यक़ीं रखते हैं
क्यूँ तिरे दर के सिवा हम कहीं सज्दा करते

  - Akhtar Azad

Aasra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Azad

As you were reading Shayari by Akhtar Azad

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Azad

Similar Moods

As you were reading Aasra Shayari Shayari