dast-dar-dast aks-e-dar hai yahan | दश्त-दर-दश्त अक्स-ए-दर है यहाँ - Akhtar Hoshiyarpuri

dast-dar-dast aks-e-dar hai yahan
tum bhi aao ki mera ghar hai yahan

phailti ja rahi hai surkh lakeer
jaise koi lahu mein tar hai yahan

dhoop se bach ke jaayen aur kahaan
apni zaat ik ghana shajar hai yahan

wahi mitti hai sab ke chehron par
aaina sab se ba-khabar hai yahan

shaakh-dar-shaakh ek saaya hai
chaand jo hai pas-e-shajar hai yahan

doob kar jis mein apni thaah mili
lamha lamha wahi bhanwar hai yahan

pattharon mein hazaar chehre hain
haan magar koi teesha-gar hai yahan

kuch mujhe bhi yahan qaraar nahin
kuch tira gham bhi dar-b-dar hai yahan

zahar ki kaat kis se ho akhtar
waqt ka marg-e-neshtar hai yahan

दश्त-दर-दश्त अक्स-ए-दर है यहाँ
तुम भी आओ कि मेरा घर है यहाँ

फैलती जा रही है सुर्ख़ लकीर
जैसे कोई लहू में तर है यहाँ

धूप से बच के जाएँ और कहाँ
अपनी ज़ात इक घना शजर है यहाँ

वही मिट्टी है सब के चेहरों पर
आइना सब से बा-ख़बर है यहाँ

शाख़-दर-शाख़ एक साया है
चाँद जो है पस-ए-शजर है यहाँ

डूब कर जिस में अपनी थाह मिली
लम्हा लम्हा वही भँवर है यहाँ

पत्थरों में हज़ार चेहरे हैं
हाँ मगर कोई तीशा-गर है यहाँ

कुछ मुझे भी यहाँ क़रार नहीं
कुछ तिरा ग़म भी दर-ब-दर है यहाँ

ज़हर की काट किस से हो 'अख़्तर'
वक़्त का मर्ग-ए-नेश्तर है यहाँ

- Akhtar Hoshiyarpuri
0 Likes

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Hoshiyarpuri

As you were reading Shayari by Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Hoshiyarpuri

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari