bandish-e-alfaaz hi se shaayri hoti nahin | बंदिश-ए-अल्फ़ाज़ ही से शाइरी होती नहीं - Akhtar Husain Shaafi

bandish-e-alfaaz hi se shaayri hoti nahin
sirf jee lene se jaise zindagi hoti nahin

shaayri kaifiyyat-e-jazb-o-junoon ka naam hai
ye na ho to shaay'ri phir shaay'ri hoti nahin

jo bhi ho lekin hamaare vaaste ye shaay'ri
pardaa-daar-e-raaz-ha-e-zindagi hoti nahin

garmi-e-jazbaat mein imkaan haseen dhoke ka hai
dil ki chingaari farogh-e-daaimi hoti nahin

paak hota hai junoon-o-shauq se raazdaan
raaz-daani be-niyaaz-e-aagahi hoti nahin

mukhtalif ik doosre se hain haqeeqat aur majaaz
koocha-e-mahboob ka'ba ki gali hoti nahin

बंदिश-ए-अल्फ़ाज़ ही से शाइरी होती नहीं
सिर्फ़ जी लेने से जैसे ज़िंदगी होती नहीं

शाइरी कैफ़िय्यत-ए-जज़्ब-ओ-जुनूँ का नाम है
ये न हो तो शाइ'री फिर शाइ'री होती नहीं

जो भी हो लेकिन हमारे वास्ते ये शाइ'री
पर्दा-दार-ए-राज़-हा-ए-ज़िंदगी होती नहीं

गर्मी-ए-जज़्बात में इम्काँ हसीं धोके का है
दिल की चिंगारी फ़रोग़-ए-दाइमी होती नहीं

पाक होता है जुनून-ओ-जुस्तुजू से राज़दाँ
राज़-दानी बे-नियाज़-ए-आगही होती नहीं

मुख़्तलिफ़ इक दूसरे से हैं हक़ीक़त और मजाज़
कूचा-ए-महबूब का'बा की गली होती नहीं

- Akhtar Husain Shaafi
0 Likes

Gaon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Husain Shaafi

As you were reading Shayari by Akhtar Husain Shaafi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Husain Shaafi

Similar Moods

As you were reading Gaon Shayari Shayari