hum dard-e-nihaan ko mehfil mein roosva-e-hikaayat kar na sake | हम दर्द-ए-निहाँ को महफ़िल में रूस्वा-ए-हिकायत कर न सके - Akhtar Husain Shaafi

hum dard-e-nihaan ko mehfil mein roosva-e-hikaayat kar na sake
kehne ko bahut kuch tha lekin kuch un se khitaabat kar na sake

ai husn zara dam bhar ke liye kuch shokh tujhe bhi hona tha
do dil the fida aapas mein magar izhaar-e-mohabbat kar na sake

guzre hue lamhon ki yaadein ab shauq-e-wafa se kahti hain
jo shay thi qareeb-e-qalb-o-jigar us shay se rifaqat kar na sake

har shauq badha kar sapne mein zahmat to uthaai raahon ki
pahunchen to dar-e-ka'ba pe magar ka'be ki ziyaarat kar na sake

seene mein khalish hai furqat ki betaab tamannaa hai meri
jo hum se mohabbat karte the hum un pe inaayat kar na sake

chanchal bhi vo the chaalaak bhi the par sharm-o-haya bhi aisi thi
hum man ke purane paapi bhi kuch un se sharaarat kar na sake

waiz ne kaha tha zabt karo jazbaat-e-mohabbat ko lekin
hum us ki hidaayat par chal kar is dil ki hifazat kar na sake

duniya ke ghamon ka khauf nahin bebaak musaafir ko shaafi
dam bhar ke liye palkon ke tale afsos iqaamat kar na sake

हम दर्द-ए-निहाँ को महफ़िल में रूस्वा-ए-हिकायत कर न सके
कहने को बहुत कुछ था लेकिन कुछ उन से ख़िताबत कर न सके

ऐ हुस्न ज़रा दम भर के लिए कुछ शोख़ तुझे भी होना था
दो दिल थे फ़िदा आपस में मगर इज़हार-ए-मोहब्बत कर न सके

गुज़रे हुए लम्हों की यादें अब शौक़-ए-वफ़ा से कहती हैं
जो शय थी क़रीब-ए-क़ल्ब-ओ-जिगर उस शय से रिफ़ाक़त कर न सके

हर शौक़ बढ़ा कर सपने में ज़हमत तो उठाई राहों की
पहुँचे तो दर-ए-का'बा पे मगर का'बे की ज़ियारत कर न सके

सीने में ख़लिश है फ़ुर्क़त की बेताब तमन्ना है मेरी
जो हम से मोहब्बत करते थे हम उन पे इनायत कर न सके

चंचल भी वो थे चालाक भी थे पर शर्म-ओ-हया भी ऐसी थी
हम मन के पुराने पापी भी कुछ उन से शरारत कर न सके

वाइज़ ने कहा था ज़ब्त करो जज़्बात-ए-मोहब्बत को लेकिन
हम उस की हिदायत पर चल कर इस दिल की हिफ़ाज़त कर न सके

दुनिया के ग़मों का ख़ौफ़ नहीं बेबाक मुसाफ़िर को 'शाफ़ी'
दम भर के लिए पलकों के तले अफ़्सोस इक़ामत कर न सके

- Akhtar Husain Shaafi
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Husain Shaafi

As you were reading Shayari by Akhtar Husain Shaafi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Husain Shaafi

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari