zauq-e-nazar badhaaiye gulzaar dekh kar | ज़ौक़-ए-नज़र बढ़ाइए गुलज़ार देख कर - Akhtar Husain Shaafi

zauq-e-nazar badhaaiye gulzaar dekh kar
ulfat ka sauda kijie bazaar dekh kar

main ne junoon-e-ishq se daaman bacha liya
har bul-hawas ko tera parastaar dekh kar

mere hi dar pe tha koi sail ke roop mein
hairat-zada raha mujhe nadaar dekh kar

naghma-saraa na ho saka gulshan mein andaleeb
toofaan-o-bark-o-baad ke aasaar dekh kar

betaab dil ko aur tarasti nigaah ko
bahla saka na main gul-o-gulzaar dekh kar

dil guftugoo ki samt jhuka she'r ban gaye
izhaar-e-gham ko rooh ka gham-khwaar dekh kar

hosh-o-hawas ki jang mein hairat-zada raha
jazbon ka shor aql ke afkaar dekh kar

aankhon se kaayenaat ke aansu tapak pade
shaafi ko is jahaan mein beemaar dekh kar

yaad aa gaeein khird ko vo jannat ki laghzishein
dil ka junoon-o-shauq sharar-baar dekh kar

haathon mein dil ke parcham-e-afkaar de diya
insaaniyat ko barsar-e-paikaar dekh kar

ज़ौक़-ए-नज़र बढ़ाइए गुलज़ार देख कर
उल्फ़त का सौदा कीजिए बाज़ार देख कर

मैं ने जुनून-ए-इश्क़ से दामन बचा लिया
हर बुल-हवस को तेरा परस्तार देख कर

मेरे ही दर पे था कोई साइल के रूप में
हैरत-ज़दा रहा मुझे नादार देख कर

नग़्मा-सरा न हो सका गुलशन में अंदलीब
तूफ़ान-ओ-बर्क़-ओ-बाद के आसार देख कर

बेताब दिल को और तरसती निगाह को
बहला सका न मैं गुल-ओ-गुलज़ार देख कर

दिल गुफ़्तुगू की सम्त झुका शे'र बन गए
इज़हार-ए-ग़म को रूह का ग़म-ख़्वार देख कर

होश-ओ-हवस की जंग में हैरत-ज़दा रहा
जज़्बों का शोर अक़्ल के अफ़्कार देख कर

आँखों से काएनात के आँसू टपक पड़े
शाफ़ी को इस जहान में बीमार देख कर

याद आ गईं ख़िरद को वो जन्नत की लग़्ज़िशें
दिल का जुनून-ओ-शौक़ शरर-बार देख कर

हाथों में दिल के परचम-ए-अफ़्कार दे दिया
इंसानियत को बरसर-ए-पैकार देख कर

- Akhtar Husain Shaafi
0 Likes

Terrorism Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Husain Shaafi

As you were reading Shayari by Akhtar Husain Shaafi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Husain Shaafi

Similar Moods

As you were reading Terrorism Shayari Shayari