ab dard ka suraj kabhi dhalt hi nahin hai | अब दर्द का सूरज कभी ढलता ही नहीं है - Akhtar lakhnvi

ab dard ka suraj kabhi dhalt hi nahin hai
ab dil koi pahluu ho sambhalta hi nahin hai

bechain kiye rahti hai jis ki talab-e-deed
ab baam pe vo chaand nikalta hi nahin hai

ik umr se duniya ka hai bas ek hi aalam
ye kya ki falak rang badalta hi nahin hai

naakaam raha un ki nigaahon ka fusoon bhi
is waqt to jaadu koi chalta hi nahin hai

jazbe ki kaddi dhoop ho to kya nahin mumkin
ye kis ne kaha sang pighlata hi nahin hai

अब दर्द का सूरज कभी ढलता ही नहीं है
अब दिल कोई पहलू हो सँभलता ही नहीं है

बेचैन किए रहती है जिस की तलब-ए-दीद
अब बाम पे वो चाँद निकलता ही नहीं है

इक उम्र से दुनिया का है बस एक ही आलम
ये क्या कि फ़लक रंग बदलता ही नहीं है

नाकाम रहा उन की निगाहों का फ़ुसूँ भी
इस वक़्त तो जादू कोई चलता ही नहीं है

जज़्बे की कड़ी धूप हो तो क्या नहीं मुमकिन
ये किस ने कहा संग पिघलता ही नहीं है

- Akhtar lakhnvi
0 Likes

Sooraj Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar lakhnvi

As you were reading Shayari by Akhtar lakhnvi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar lakhnvi

Similar Moods

As you were reading Sooraj Shayari Shayari