dekho us ne qadam qadam par saath diya begaane ka | देखो उस ने क़दम क़दम पर साथ दिया बेगाने का - Akhtar lakhnvi

dekho us ne qadam qadam par saath diya begaane ka
akhtar jis ne ahad kiya tha tum se saath nibhaane ka

aaj hamaare qadmon mein hai kaahkashaan shahr-e-mehtaab
kal tak log kaha karte the khwaab use deewane ka

tere lab-o-rukhsaar ke qisse tere qad-o-gesoo ki baat
saamaan hum bhi rakhte hain tanhaai mein dil bahaalne ka

tum bhi sunte to ro dete hum bhi kahte to rote
jaan ke hum ne chhod diya hai ik hissa afsaane ka

kuch to hai jo apnaaya hai hum ne koo-e-malaamat ko
vaise aur tareeqa bhi tha akhtar dil bahaalne ka

देखो उस ने क़दम क़दम पर साथ दिया बेगाने का
'अख़्तर' जिस ने अहद किया था तुम से साथ निभाने का

आज हमारे क़दमों में है काहकशाँ शहर-ए-महताब
कल तक लोग कहा करते थे ख़्वाब उसे दीवाने का

तेरे लब-ओ-रुख़्सार के क़िस्से तेरे क़द-ओ-गेसू की बात
सामाँ हम भी रखते हैं तन्हाई में दिल बहलाने का

तुम भी सुनते तो रो देते हम भी कहते तो रोते
जान के हम ने छोड़ दिया है इक हिस्सा अफ़्साने का

कुछ तो है जो अपनाया है हम ने कू-ए-मलामत को
वैसे और तरीक़ा भी था 'अख्तर' दिल बहलाने का

- Akhtar lakhnvi
0 Likes

Tanhai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar lakhnvi

As you were reading Shayari by Akhtar lakhnvi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar lakhnvi

Similar Moods

As you were reading Tanhai Shayari Shayari