dil ke har zakham ko palkon pe sajaaya to gaya | दिल के हर ज़ख़्म को पलकों पे सजाया तो गया - Akhtar lakhnvi

dil ke har zakham ko palkon pe sajaaya to gaya
aap ke naam pe ik jashn manaaya to gaya

may-e-kohna na sahi khoon-e-tamanna hi sahi
ek paimaana mere saamne laaya to gaya

khair apna nahin baagi hi samajh kar hum ko
teri mehfil mein kisi taur bulaaya to gaya

ab ye baat aur ki zindaan mein bhi zanjeeren hain
hum ko gulshan ki balaaon se bachaaya to gaya

daar pe chadh ke bhi khush hain ki humein is dil mein
is bahaane hi sahi apna banaya to gaya

ab ye qismat hi na jaage to kare kya koi
roz-o-shab ik naya toofaan uthaya to gaya

kya hai manzil se agar ho gaye hum door akhtar
rahbaro'n ke humein halke se nikala to gaya

दिल के हर ज़ख़्म को पलकों पे सजाया तो गया
आप के नाम पे इक जश्न मनाया तो गया

मय-ए-कोहना न सही ख़ून-ए-तमन्ना ही सही
एक पैमाना मिरे सामने लाया तो गया

ख़ैर अपना नहीं बाग़ी ही समझ कर हम को
तेरी महफ़िल में किसी तौर बुलाया तो गया

अब ये बात और कि ज़िंदाँ में भी ज़ंजीरें हैं
हम को गुलशन की बलाओं से बचाया तो गया

दार पे चढ़ के भी ख़ुश हैं कि हमें इस दिल में
इस बहाने ही सही अपना बनाया तो गया

अब ये क़िस्मत ही न जागे तो करे क्या कोई
रोज़-ओ-शब इक नया तूफ़ान उठाया तो गया

क्या है मंज़िल से अगर हो गए हम दूर 'अख़्तर'
रहबरों के हमें हल्क़े से निकाला तो गया

- Akhtar lakhnvi
0 Likes

Sazaa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar lakhnvi

As you were reading Shayari by Akhtar lakhnvi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar lakhnvi

Similar Moods

As you were reading Sazaa Shayari Shayari