hoshyaar kar raha hai gajr jaagte raho | होश्यार कर रहा है गजर जागते रहो - Akhtar lakhnvi

hoshyaar kar raha hai gajr jaagte raho
ai sahibaan-e-fikr-o-nazar jaagte raho

dasht-e-shab-e-siyaah mein sunte hain shab-parast
rokenge kaarvaan-e-sehr jaagte raho

zulmat kahi na kar de ujaale ko daagh-daar
le kar charaagh-e-deeda-e-tar jaagte raho

soye nahin ki doob gai nabz-e-kaayenaat
bojhal ho laakh aankh magar jaagte raho

khwaabida apne chaahne waalon ko dekh kar
mumkin hai laut jaaye sehar jaagte raho

होश्यार कर रहा है गजर जागते रहो
ऐ साहिबान-ए-फ़िक्र-ओ-नज़र जागते रहो

दश्त-ए-शब-ए-सियाह में सुनते हैं शब-परस्त
रोकेंगे कारवान-ए-सहर जागते रहो

ज़ुल्मत कहीं न कर दे उजाले को दाग़-दार
ले कर चराग़-ए-दीदा-ए-तर जागते रहो

सोए नहीं कि डूब गई नब्ज़-ए-काएनात
बोझल हो लाख आँख मगर जागते रहो

ख़्वाबीदा अपने चाहने वालों को देख कर
मुमकिन है लौट जाए सहर जागते रहो

- Akhtar lakhnvi
0 Likes

Bekhabri Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar lakhnvi

As you were reading Shayari by Akhtar lakhnvi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar lakhnvi

Similar Moods

As you were reading Bekhabri Shayari Shayari