kisi ka chehra kisi par saja nahin deta | किसी का चेहरा किसी पर सजा नहीं देता

  - Akhtar lakhnvi

kisi ka chehra kisi par saja nahin deta
kabhi fareb koi aaina nahin deta

hasad ka rang pasandeeda rang hai sab ka
yahan kisi ko koi ab dua nahin deta

ik e'timaad tha baaki so uth gaya vo bhi
ki bhaai bhaai ke ghar ka pata nahin deta

bujaaye jab se hamaare charaagh logon ne
koi darakht hamein ab hawa nahin deta

hamein khuda pe bharosa hai na-khuda pe nahin
khuda jo deta hai vo na-khuda nahin deta

किसी का चेहरा किसी पर सजा नहीं देता
कभी फ़रेब कोई आइना नहीं देता

हसद का रंग पसंदीदा रंग है सब का
यहाँ किसी को कोई अब दुआ नहीं देता

इक ए'तिमाद था बाक़ी सो उठ गया वो भी
कि भाई भाई के घर का पता नहीं देता

बुझाए जब से हमारे चराग़ लोगों ने
कोई दरख़्त हमें अब हवा नहीं देता

हमें ख़ुदा पे भरोसा है ना-ख़ुदा पे नहीं
ख़ुदा जो देता है वो ना-ख़ुदा नहीं देता

  - Akhtar lakhnvi

Hawa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar lakhnvi

As you were reading Shayari by Akhtar lakhnvi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar lakhnvi

Similar Moods

As you were reading Hawa Shayari Shayari