raunaq hi nahin us ki ham rooh-o-ravaan bhi hain | रौनक़ ही नहीं उस की हम रूह-ओ-रवाँ भी हैं

  - Akhtar lakhnvi

raunaq hi nahin us ki ham rooh-o-ravaan bhi hain
lekin hamein duniya ki khaatir pe garaan bhi hain

ik tere hi kooche par mauqoof nahin hai kuchh
har gaam hain taazeeren ham log jahaan bhi hain

gulchein ko nahin shaayad is raaz se aagaahi
shabnam mein nahaaye gul sholoon ki zabaan bhi hain

khaate the qasam jin ke kirdaar-o-amal ki ham
shaamil saf-e-a'ada mein vo ham-nafasaan bhi hain

sach kahte ho ham aise zarroon ki haqeeqat kya
ab kaun kahe tum se ham sang-e-giraan bhi hain

रौनक़ ही नहीं उस की हम रूह-ओ-रवाँ भी हैं
लेकिन हमें दुनिया की ख़ातिर पे गराँ भी हैं

इक तेरे ही कूचे पर मौक़ूफ़ नहीं है कुछ
हर गाम हैं ताज़ीरें हम लोग जहाँ भी हैं

गुलचीं को नहीं शायद इस राज़ से आगाही
शबनम में नहाए गुल शो'लों की ज़बाँ भी हैं

खाते थे क़सम जिन के किरदार-ओ-अमल की हम
शामिल सफ़-ए-आ'दा में वो हम-नफ़साँ भी हैं

सच कहते हो हम ऐसे ज़र्रों की हक़ीक़त क्या
अब कौन कहे तुम से हम संग-ए-गिराँ भी हैं

  - Akhtar lakhnvi

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar lakhnvi

As you were reading Shayari by Akhtar lakhnvi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar lakhnvi

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari