shehar ka shehar saleebo se saja hai ab ke | शहर का शहर सलीबों से सजा है अब के - Akhtar lakhnvi

shehar ka shehar saleebo se saja hai ab ke
un ki aamad ka har andaaz naya hai ab ke

qaafila qaafila maqtal ki taraf jaayenge log
shokh pehle se bahut rang-e-hina hai ab ke

ye to sach hai vo isee raah se guzarenge magar
koi dekhe na inhen hukm hua hai ab ke

aao jee bhar ke gale mil len rafeeqo hum aaj
qatl ki shakl mein inaam-e-wafa hai ab ke

mausam-e-gul tire sadqe tiri aamad ke nisaar
dekh mujh se mera saaya bhi juda hai ab ke

ek qatra nahin deti hai guzar jaati hai
jo bhi uthati hai ghatta aisi ghatta hai ab ke

dosto zikr-e-rukh-e-yaar se ghaafil na raho
dasht-e-zulmaat mein mahtaab luta hai ab ke

शहर का शहर सलीबों से सजा है अब के
उन की आमद का हर अंदाज़ नया है अब के

क़ाफ़िला क़ाफ़िला मक़्तल की तरफ़ जाएँगे लोग
शोख़ पहले से बहुत रंग-ए-हिना है अब के

ये तो सच है वो इसी राह से गुज़़रेंगे मगर
कोई देखे न इन्हें हुक्म हुआ है अब के

आओ जी भर के गले मिल लें रफ़ीक़ो हम आज
क़त्ल की शक्ल में इनआम-ए-वफ़ा है अब के

मौसम-ए-गुल तिरे सदक़े तिरी आमद के निसार
देख मुझ से मिरा साया भी जुदा है अब के

एक क़तरा नहीं देती है गुज़र जाती है
जो भी उठती है घटा ऐसी घटा है अब के

दोस्तो ज़िक्र-ए-रुख़-ए-यार से ग़ाफ़िल न रहो
दश्त-ए-ज़ुल्मात में महताब लुटा है अब के

- Akhtar lakhnvi
0 Likes

Murder Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar lakhnvi

As you were reading Shayari by Akhtar lakhnvi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar lakhnvi

Similar Moods

As you were reading Murder Shayari Shayari