soo-e-maqtal koi dam saath chale | सू-ए-मक़्तल कोई दम साथ चले - Akhtar lakhnvi

soo-e-maqtal koi dam saath chale
jis ko rakhna ho bharam saath chale

isee hasrat mein kati raah-e-hayaat
koi do-chaar qadam saath chale

khaar-zaaron mein jahaan koi na tha
ban ke ham-dam tire gham saath chale

hum se rindon ka thikaana kya hai
tum kahaan shaikh-e-haram saath chale

waadi-e-shab ki kathin raahon mein
log katara gaye kam saath chale

सू-ए-मक़्तल कोई दम साथ चले
जिस को रखना हो भरम साथ चले

इसी हसरत में कटी राह-ए-हयात
कोई दो-चार क़दम साथ चले

ख़ार-ज़ारों में जहाँ कोई न था
बन के हम-दम तिरे ग़म साथ चले

हम से रिंदों का ठिकाना क्या है
तुम कहाँ शैख़-ए-हरम साथ चले

वादी-ए-शब की कठिन राहों में
लोग कतरा गए कम साथ चले

- Akhtar lakhnvi
0 Likes

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar lakhnvi

As you were reading Shayari by Akhtar lakhnvi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar lakhnvi

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari