ik baar jo bichhde vo dobara nahin milta | इक बार जो बिछड़े वो दोबारा नहीं मिलता

  - akhtar malik

ik baar jo bichhde vo dobara nahin milta
mil jaaye koi shakhs to saara nahin milta

us ki bhi nikal aati hai izhaar ki soorat
jis shakhs ko lafzon ka sahaara nahin milta

phir doobna ye baat bahut soch lo pehle
har laash ko dariya ka kinaara nahin milta

ye soch ke dil phir se hai aamaada-e-ulfat
har baar mohabbat mein khasaara nahin milta

kyun log bulaaenge hamein bazm-e-sukhan mein
apna to kisi se bhi sitaara nahin milta

vo shehar bhala kaise lage apna jahaan par
ik shakhs bhi dhunde se hamaara nahin milta

इक बार जो बिछड़े वो दोबारा नहीं मिलता
मिल जाए कोई शख़्स तो सारा नहीं मिलता

उस की भी निकल आती है इज़हार की सूरत
जिस शख़्स को लफ़्ज़ों का सहारा नहीं मिलता

फिर डूबना ये बात बहुत सोच लो पहले
हर लाश को दरिया का किनारा नहीं मिलता

ये सोच के दिल फिर से है आमादा-ए-उल्फ़त
हर बार मोहब्बत में ख़सारा नहीं मिलता

क्यूँ लोग बुलाएँगे हमें बज़्म-ए-सुख़न में
अपना तो किसी से भी सितारा नहीं मिलता

वो शहर भला कैसे लगे अपना जहाँ पर
इक शख़्स भी ढूँडे से हमारा नहीं मिलता

  - akhtar malik

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by akhtar malik

As you were reading Shayari by akhtar malik

Similar Writers

our suggestion based on akhtar malik

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari