qurb ke na wafa ke hote hain | क़ुर्ब के न वफ़ा के होते हैं

  - akhtar malik

qurb ke na wafa ke hote hain
jhagde saare ana ke hote hain

baat niyyat ki sirf hai warna
waqt saare dua ke hote hain

bhool jaate hain mat bura kehna
log putle khata ke hote hain

vo b-zaahir jo kuchh nahin lagte
un se rishte bala ke hote hain

vo hamaara hai is tarah shaayad
jaise bande khuda ke hote hain

bakhsh dena bhi theek hai lekin
kuchh saleeqe ata ke hote hain

kuchh ko duniya bikher deti hai
kuchh pareshaan sada ke hote hain

vo jo hasti mein doob jaate hain
un ke charche bala ke hote hain

us ki fitrat hi aisi hai akhtar
jaise tevar hawa ke hote hain

क़ुर्ब के न वफ़ा के होते हैं
झगड़े सारे अना के होते हैं

बात निय्यत की सिर्फ़ है वर्ना
वक़्त सारे दुआ के होते हैं

भूल जाते हैं मत बुरा कहना
लोग पुतले ख़ता के होते हैं

वो ब-ज़ाहिर जो कुछ नहीं लगते
उन से रिश्ते बला के होते हैं

वो हमारा है इस तरह शायद
जैसे बंदे ख़ुदा के होते हैं

बख़्श देना भी ठीक है लेकिन
कुछ सलीक़े अता के होते हैं

कुछ को दुनिया बिखेर देती है
कुछ परेशाँ सदा के होते हैं

वो जो हस्ती में डूब जाते हैं
उन के चर्चे बला के होते हैं

उस की फ़ितरत ही ऐसी है 'अख़्तर'
जैसे तेवर हवा के होते हैं

  - akhtar malik

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by akhtar malik

As you were reading Shayari by akhtar malik

Similar Writers

our suggestion based on akhtar malik

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari