ik ajab aalam hai dil ka zindagi ki raah mein
dekhta hoon kuchh kami si husn-e-mehr-o-maah mein
us ke hote bhi main ik ehsaas-e-tanhaai mein hoon
jalva-gar hai vo jo muddat se dil-e-aagaah mein
door ho kar mujh se chalti hai hawa-e-jaan-faza
jee raha hoon phir bhi aise mausam-e-jaankaah mein
har qadam par kyun daraati hai mujhe ye zindagi
ye jo meri raushni thi zulmato_n ki raah mein
kaise uththoon tere dar se ai jahaan-e-aarzoo
ek aalam ko samete daaman-e-kotaah mein
ai parstaaraan-e-duniya dil ki duniya hai kuchh aur
kaun thokar khaaye bin rehta hai us ki raah mein
ab na pahchaane koi akhtar to is ka kya ilaaj
umr saari kaat di hai tu ne rasm-o-raah mein
इक अजब आलम है दिल का ज़िंदगी की राह में
देखता हूँ कुछ कमी सी हुस्न-ए-महर-ओ-माह में
उस के होते भी मैं इक एहसास-ए-तन्हाई में हूँ
जल्वा-गर है वो जो मुद्दत से दिल-ए-आगाह में
दूर हो कर मुझ से चलती है हवा-ए-जाँ-फ़ज़ा
जी रहा हूँ फिर भी ऐसे मौसम-ए-जाँकाह में
हर क़दम पर क्यूँ डराती है मुझे ये ज़िंदगी
ये जो मेरी रौशनी थी ज़ुल्मतों की राह में
कैसे उठ्ठूँ तेरे दर से ऐ जहान-ए-आरज़ू
एक आलम को समेटे दामन-ए-कोताह में
ऐ परस्तारान-ए-दुनिया दिल की दुनिया है कुछ और
कौन ठोकर खाए बिन रहता है उस की राह में
अब न पहचाने कोई 'अख़्तर' तो इस का क्या इलाज
उम्र सारी काट दी है तू ने रस्म-ओ-राह में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Saeedi
our suggestion based on Akhtar Saeedi
As you were reading Zindagi Shayari Shayari