ki justuju to ek naya ghar mila mujhe
barson ke ba'ad mera muqaddar mila mujhe
jab tishnagi badhi to maseeha na tha koi
jab pyaas bujh gai to samundar mila mujhe
duniya mere khilaaf nabard-aazmaa rahi
lekin vo ek shakhs barabar mila mujhe
zakham-e-nigaah zakhm-e-hunar zakhm-e-dil ke ba'ad
ik aur zakham tujh se bichhad kar mila mujhe
naazuk-khayaaliyon ki mujhe ye saza mili
sheesha taraashne ko bhi patthar mila mujhe
की जुस्तुजू तो एक नया घर मिला मुझे
बरसों के बा'द मेरा मुक़द्दर मिला मुझे
जब तिश्नगी बढ़ी तो मसीहा न था कोई
जब प्यास बुझ गई तो समुंदर मिला मुझे
दुनिया मिरे ख़िलाफ़ नबर्द-आज़मा रही
लेकिन वो एक शख़्स बराबर मिला मुझे
ज़ख़्म-ए-निगाह ज़ख़्म-ए-हुनर ज़ख़्म-ए-दिल के बा'द
इक और ज़ख़्म तुझ से बिछड़ कर मिला मुझे
नाज़ुक-ख़यालियों की मुझे ये सज़ा मिली
शीशा तराशने को भी पत्थर मिला मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Saeedi
our suggestion based on Akhtar Saeedi
As you were reading Duniya Shayari Shayari