muddaton jo rahe bahaaron mein
aaj vo ghir gaye hain kaanton mein
main ki sahra-navard hoon lekin
parvarish chahta hoon phoolon mein
aks tera dikhaai deta hai
bahte paani ki naram lehron mein
khul gaye khwahishon ke darwaaze
phir bhi koi nahin hai baanhon mein
jo mehakte hain khushbuon ki tarah
lams tera hai un gulaabon mein
kaar-farma dikhaai deta hai
mera ehsaas mere jazbon mein
aaj ham se bichhad gaya akhtar
tazkira ho raha tha logon mein
मुद्दतों जो रहे बहारों में
आज वो घिर गए हैं काँटों में
मैं कि सहरा-नवर्द हूँ लेकिन
परवरिश चाहता हूँ फूलों में
अक्स तेरा दिखाई देता है
बहते पानी की नरम लहरों में
खुल गए ख़्वाहिशों के दरवाज़े
फिर भी कोई नहीं है बाँहों में
जो महकते हैं ख़ुशबुओं की तरह
लम्स तेरा है उन गुलाबों में
कार-फ़रमा दिखाई देता है
मेरा एहसास मेरे जज़्बों में
आज हम से बिछड़ गया 'अख़्तर'
तज़्किरा हो रहा था लोगों में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Saeedi
our suggestion based on Akhtar Saeedi
As you were reading Rose Shayari Shayari