ravaan-davaan hai zindagi charaagh ke baghair bhi | रवाँ-दवाँ है ज़िंदगी चराग़ के बग़ैर भी

  - Akhtar Saeedi

ravaan-davaan hai zindagi charaagh ke baghair bhi
hai mere ghar mein raushni charaagh ke baghair bhi

the jis ki justuju mein sab hareef-e-kaarvaan-e-shab
vo raah ham ne dhundh li charaagh ke baghair bhi

mohabbaton ke deep har qadam pe main jalaaunga
hai mujh mein zaauq-e-aagahi charaagh ke baghair bhi

vo zindagi jo mash'al-e-wafa ki ham-rikaab thi
guzar gai hasi-khushi charaagh ke baghair bhi

रवाँ-दवाँ है ज़िंदगी चराग़ के बग़ैर भी
है मेरे घर में रौशनी चराग़ के बग़ैर भी

थे जिस की जुस्तुजू में सब हरीफ़-ए-कारवान-ए-शब
वो राह हम ने ढूँड ली चराग़ के बग़ैर भी

मोहब्बतों के दीप हर क़दम पे मैं जलाऊँगा
है मुझ में ज़ौक़-ए-आगही चराग़ के बग़ैर भी

वो ज़िंदगी जो मशअ'ल-ए-वफ़ा की हम-रिकाब थी
गुज़र गई हँसी-ख़ुशी चराग़ के बग़ैर भी

  - Akhtar Saeedi

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Saeedi

As you were reading Shayari by Akhtar Saeedi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Saeedi

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari