ada na hon jab sukhun zabaan se hareer jaise
nikaalna is kamaan se lafz teer jaise
ajeeb rut hai anaaj maange hai ab hawa bhi
har ek dar pe ye dastaken de faqeer jaise
sabhi ke haathon mein maas jalne ki boo rachi hai
jhuls rahi ho khuloos ki har lakeer jaise
main apne aalam mein tere aalam se poochta hoon
wahan bhi baste hain log kya mujh aseer jaise
use bhi ab hirz-e-jaan banaana padega akhtar
ki ho gaya hai hareef raushan zameer jaise
अदा न हों जब सुख़न ज़बाँ से हरीर जैसे
निकालना इस कमान से लफ़्ज़ तीर जैसे
अजीब रुत है अनाज माँगे है अब हवा भी
हर एक दर पे ये दस्तकें दे फ़क़ीर जैसे
सभी के हाथों में मास जलने की बू रची है
झुलस रही हो ख़ुलूस की हर लकीर जैसे
मैं अपने आलम में तेरे आलम से पूछता हूँ
वहाँ भी बस्ते हैं लोग क्या मुझ असीर जैसे
उसे भी अब हिर्ज़-ए-जाँ बनाना पड़ेगा 'अख़्तर'
कि हो गया है हरीफ़ रौशन ज़मीर जैसे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Shaikh
our suggestion based on Akhtar Shaikh
As you were reading Pollution Shayari Shayari