ajab tarah se ana ka khitaa kataav par tha
ruka tha dariya magar kinaara bahaav par tha
shikast mein zar ke saath deewar-o-dar chale the
juwaari ab ke bhi jeet khwaahish ke daav par tha
wahan wahan baad-e-tund ke bhi giroh pahunchen
jahaan-jahaan sarkashon ka lashkar padaav par tha
ye kis ke seene mein dhoop neze gado rahi thi
vo barf raaton mein jism kis ka alaav par tha
tamaam shehron ke vast naamoose mandiyaan theen
ana ka mea'ar sab ke nazdeek bhaav par tha
अजब तरह से अना का ख़ित्ता कटाव पर था
रुका था दरिया मगर किनारा बहाव पर था
शिकस्त में ज़र के साथ दीवार-ओ-दर चले थे
जुआरी अब के भी जीत ख़्वाहिश के दाव पर था
वहाँ वहाँ बाद-ए-तुंद के भी गिरोह पहुँचे
जहाँ-जहाँ सरकशों का लश्कर पड़ाव पर था
ये किस के सीने में धूप नेज़े गड़ो रही थी
वो बर्फ़ रातों में जिस्म किस का अलाव पर था
तमाम शहरों के वस्त नामूस मंडियाँ थीं
अना का मेआ'र सब के नज़दीक भाव पर था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Shaikh
our suggestion based on Akhtar Shaikh
As you were reading Khuddari Shayari Shayari