badan ko chaak ana ko burida kya karna | बदन को चाक अना को बुरीदा क्या करना

  - Akhtar Shaikh

badan ko chaak ana ko burida kya karna
lahu se rizq bhala ab kasheed kya karna

ye be-hisi to mere ghar ka saanehaa thehri
gawaah is mein koi chashm-deed kya karna

shareek-e-habs hawa ho to ma'arka kaisa
faseel-e-shehr phir is mein shaheed kya karna

ye aaina to kabhi mun'akis nahin hoga
libaas-e-khalq badal kar mazid kya karna

बदन को चाक अना को बुरीदा क्या करना
लहू से रिज़्क़ भला अब कशीद क्या करना

ये बे-हिसी तो मिरे घर का सानेहा ठहरी
गवाह इस में कोई चश्म-दीद क्या करना

शरीक-ए-हब्स हवा हो तो मा'रका कैसा
फ़सील-ए-शहर फिर इस में शहीद क्या करना

ये आइना तो कभी मुनअ'किस नहीं होगा
लिबास-ए-ख़ल्क़ बदल कर मज़ीद क्या करना

  - Akhtar Shaikh

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Shaikh

As you were reading Shayari by Akhtar Shaikh

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Shaikh

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari