be-hisi ki dhool mein behis atte rah jaayenge
log apne apne firqon mein bate rah jaayenge
dhanp legi jabr ki dharti parindon ke badan
aur baal-o-par fazaaon mein kate rah jaayenge
log utar aayenge gurbat se mahaaz-aaraai par
shehar mein har samt zalim marhate rah jaayenge
junglon ki samt bah jaayega jismoon ka hujoom
shehar ki veeraaniyon mein sar kate rah jaayenge
khwaahishein ud jaayengi taaza hawa ke saath saath
bistaron par silvaton ke jamghate rah jaayenge
aandhiyaan malba bana ke chhod jaayengi unhen
hausale apne makaanon ke date rah jaayenge
guftugoo zehnon mein kuchh tahleel si ho jaayegi
khud-bakhud mafhoom honton par rate rah jaayenge
manzilen akhtar palat kar dekhti rah jaayengi
ham talab ki raah mein peeche hate rah jaayenge
बे-हिसी की धूल में बेहिस अटे रह जाएँगे
लोग अपने अपने फ़िर्क़ों में बटे रह जाएँगे
ढाँप लेगी जब्र की धरती परिंदों के बदन
और बाल-ओ-पर फ़ज़ाओं में कटे रह जाएँगे
लोग उतर आएँगे ग़ुर्बत से महाज़-आराई पर
शहर में हर सम्त ज़ालिम मरहटे रह जाएँगे
जंगलों की सम्त बह जाएगा जिस्मों का हुजूम
शहर की वीरानियों में सर कटे रह जाएँगे
ख़्वाहिशें उड़ जाएँगी ताज़ा हवा के साथ साथ
बिस्तरों पर सिलवटों के जमघटे रह जाएँगे
आँधियाँ मलबा बना के छोड़ जाएँगी उन्हें
हौसले अपने मकानों के डटे रह जाएँगे
गुफ़्तुगू ज़ेहनों में कुछ तहलील सी हो जाएगी
ख़ुद-बख़ुद मफ़्हूम होंटों पर रटे रह जाएँगे
मंज़िलें 'अख़्तर' पलट कर देखती रह जाएँगी
हम तलब की राह में पीछे हटे रह जाएँगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Shaikh
our suggestion based on Akhtar Shaikh
As you were reading Hawa Shayari Shayari