iraadon ka badan koi bhi paainda nahin rakhta | इरादों का बदन कोई भी पाइंदा नहीं रखता

  - Akhtar Shaikh

iraadon ka badan koi bhi paainda nahin rakhta
mera ism-e-muqabbir hi mujhe zinda nahin rakhta

ab us ki haakimiyat chand paharon tak simat aayi
vo aise haal mein bhi fikr-e-aainda nahin rakhta

chala aata hoon main ilzaam se pehle katihare mein
adaalat mein ana ki khud ko sharminda nahin rakhta

sabhi lahjon ne dars-e-aafiyat to yaad rakha hai
musaavi soch lekin koi baashinda nahin rakhta

main aise sar-fire logon mein basta hoon jahaan akhtar
qabeela khatm ho jaaye numainda nahin rakhta

इरादों का बदन कोई भी पाइंदा नहीं रखता
मिरा इस्म-ए-मुकब्बिर ही मुझे ज़िंदा नहीं रखता

अब उस की हाकिमिय्यत चंद पहरों तक सिमट आई
वो ऐसे हाल में भी फ़िक्र-ए-आइंदा नहीं रखता

चला आता हूँ मैं इल्ज़ाम से पहले कटहरे में
अदालत में अना की ख़ुद को शर्मिंदा नहीं रखता

सभी लहजों ने दर्स-ए-आफ़ियत तो याद रक्खा है
मुसावी सोच लेकिन कोई बाशिंदा नहीं रखता

मैं ऐसे सर-फिरे लोगों में बस्ता हूँ जहाँ 'अख़्तर'
क़बीला ख़त्म हो जाए नुमाइंदा नहीं रखता

  - Akhtar Shaikh

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Shaikh

As you were reading Shayari by Akhtar Shaikh

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Shaikh

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari