lafz likhna hai to phir kaaghaz ki niyyat se na dar
is qadar izhaar ki be-maanaviyyat se na dar
dekh gulshan mein abhi shaakh-e-tahayyur baanjh hai
phool hona hai to khilne ki aziyyat se na dar
hamrah-e-mausam safar ki bastiyon ke darmiyaan
naqsh-bar-deewaar baarish ki wasiyyat se na dar
ek halki si sada to bin zabaan rakhta hai tu
chaar jaanib khaamoshi ki aksariyyat se na dar
aasmaan ik din patinga ho sar-e-sham-e-zameen
mom kar apne lahu ko jal aziyyat se na dar
लफ़्ज़ लिखना है तो फिर काग़ज़ की निय्यत से न डर
इस क़दर इज़हार की बे-मानविय्यत से न डर
देख! गुलशन में अभी शाख़-ए-तहय्युर बाँझ है
फूल होना है तो खिलने की अज़िय्यत से न डर
हमरह-ए-मौसम सफ़र की बस्तियों के दरमियाँ
नक़्श-बर-दीवार बारिश की वसिय्यत से न डर
एक हल्की सी सदा तो बिन ज़बाँ रखता है तू
चार जानिब ख़ामुशी की अक्सरिय्यत से न डर
आसमाँ इक दिन पतिंगा हो सर-ए-शम्-ए-ज़मीं
मोम कर अपने लहू को जल अज़िय्यत से न डर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Shaikh
our suggestion based on Akhtar Shaikh
As you were reading Valentine Shayari Shayari