pahaad se koi raah utre to main bhi dekhoon | पहाड़ से कोई राह उतरे तो मैं भी देखूँ - Akhtar Shaikh

pahaad se koi raah utre to main bhi dekhoon
bulandiyon se nigaah utre to main bhi dekhoon

gunaah-karda badan hai us ka to tum bhi dekho
saleeb se be-gunaah utre to main bhi dekhoon

sahe hain basti ne mausamon ke azaab kya kya
chhato se aab-o-giyaah utre to main bhi dekhoon

yahan kise raas aayi hai rasm-e-khud-numaai
saroon se zaauq-e-kulaah utre to main bhi dekhoon

kahaan kahaan jism dhoop se ho gaye hain jal-thal
nagar mein shaam-e-siyaah utre to main bhi dekhoon

पहाड़ से कोई राह उतरे तो मैं भी देखूँ
बुलंदियों से निगाह उतरे तो मैं भी देखूँ

गुनाह-कर्दा बदन है उस का तो तुम भी देखो
सलीब से बे-गुनाह उतरे तो मैं भी देखूँ

सहे हैं बस्ती ने मौसमों के अज़ाब क्या क्या
छतों से आब-ओ-गियाह उतरे तो मैं भी देखूँ

यहाँ किसे रास आई है रस्म-ए-ख़ुद-नुमाई
सरों से ज़ौक़-ए-कुलाह उतरे तो मैं भी देखूँ

कहाँ कहाँ जिस्म धूप से हो गए हैं जल-थल
नगर में शाम-ए-सियाह उतरे तो मैं भी देखूँ

- Akhtar Shaikh
0 Likes

Dhoop Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Shaikh

As you were reading Shayari by Akhtar Shaikh

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Shaikh

Similar Moods

As you were reading Dhoop Shayari Shayari