pyaas ke phool khilen gham ki tamaazat jaage
is baras fikr ki ik aur rivaayat jaage
koi tanhaai ka maatam bhi kare to kaise
ek deewaar bhi goonje to qayamat jaage
rooh suqraat ki hai jism hai tiryaaq mera
zahar pee luun to har ik samt halaavat jaage
meri ta'beer ka suraj bhi chamakna seekhe
khwaab ke shehar mein mere bhi to khilqat jaage
raas kyun aaye na phir jaagta maahol akhtar
shehar so jaaye to logon mein adavat jaage
प्यास के फूल खिलें ग़म की तमाज़त जागे
इस बरस फ़िक्र की इक और रिवायत जागे
कोई तन्हाई का मातम भी करे तो कैसे
एक दीवार भी गूँजे तो क़यामत जागे
रूह सुक़रात की है जिस्म है तिरयाक मिरा
ज़हर पी लूँ तो हर इक सम्त हलावत जागे
मेरी ता'बीर का सूरज भी चमकना सीखे
ख़्वाब के शहर में मेरे भी तो ख़िल्क़त जागे
रास क्यों आए न फिर जागता माहौल 'अख़्तर'
शहर सो जाए तो लोगों में अदावत जागे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Shaikh
our suggestion based on Akhtar Shaikh
As you were reading Wahshat Shayari Shayari