shola hoon phir bhi barf ke ik pairhan mein hoon
mehsoos ho raha hai ki zinda kafan mein hoon
ab jaahilon si baat bhi karna muhaal hai
kaatee hui zabaan ki soorat dehan mein hoon
kya marhala hai ahad-e-safar se safar talak
paanv ruke hue hain musalsal thakan mein hoon
chaahat ke har muheet se baahar hain valvale
hijrat kare hai soch magar khud watan mein hoon
faila hua hoon dhoop ki soorat nagar nagar
akhtar main boo-e-gul ki tarah har chaman mein hoon
शो'ला हूँ फिर भी बर्फ़ के इक पैरहन में हूँ
महसूस हो रहा है कि ज़िंदा कफ़न में हूँ
अब जाहिलों सी बात भी करना मुहाल है
काटी हुई ज़बान की सूरत दहन में हूँ
क्या मरहला है अह्द-ए-सफ़र से सफ़र तलक
पाँव रुके हुए हैं मुसलसल थकन में हूँ
चाहत के हर मुहीत से बाहर हैं वलवले
हिजरत करे है सोच मगर ख़ुद वतन में हूँ
फैला हुआ हूँ धूप की सूरत नगर नगर
'अख़्तर' मैं बू-ए-गुल की तरह हर चमन में हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Shaikh
our suggestion based on Akhtar Shaikh
As you were reading Environment Shayari Shayari