shuoor-e-gham ki tanhaai se jal-thal ho chuki hai | शुऊर-ए-ग़म की तन्हाई से जल-थल हो चुकी है

  - Akhtar Shaikh

shuoor-e-gham ki tanhaai se jal-thal ho chuki hai
main koi zindagi tha jo mo'attal ho chuki hai

koi imdaad ka pahluu nikal aane se pehle
jo mushkil thi hamaare saamne hal ho chuki hai

sehar ka jism kyun takte nahin hain basti waale
shab-e-ufaad to aankhon se ojhal ho chuki hai

na ab dikhlaao un se milta-julta koi chehra
mere andar ki duniya kab ki paagal ho chuki hai

hui nazdeek manzil to nahin chalne ka yaara
badan kamzor hai ya khaal bojhal ho chuki hai

hamaare sar se abr-e-aafiyat guzre to jaanen
hawa raftaar mein kitni musalsal ho chuki hai

faseelen saamraaji tauq pahne ro rahi hain
kahaani shahzaadon ki mukammal ho chuki hai

शुऊर-ए-ग़म की तन्हाई से जल-थल हो चुकी है
मैं कोई ज़िंदगी था जो मोअ'त्तल हो चुकी है

कोई इमदाद का पहलू निकल आने से पहले
जो मुश्किल थी हमारे सामने हल हो चुकी है

सहर का जिस्म क्यों तकते नहीं हैं बस्ती वाले
शब-ए-उफ़्ताद तो आँखों से ओझल हो चुकी है

न अब दिखलाओ उन से मिलता-जुलता कोई चेहरा
मिरे अंदर की दुनिया कब की पागल हो चुकी है

हुई नज़दीक मंज़िल तो नहीं चलने का यारा
बदन कमज़ोर है या खाल बोझल हो चुकी है

हमारे सर से अब्र-ए-आफ़ियत गुज़रे तो जानें
हवा रफ़्तार में कितनी मुसलसल हो चुकी है

फ़सीलें सामराजी तौक़ पहने रो रही हैं
कहानी शाहज़ादों की मुकम्मल हो चुकी है

  - Akhtar Shaikh

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Shaikh

As you were reading Shayari by Akhtar Shaikh

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Shaikh

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari