gham tabassum mein jo dhal jaata hai
gham ka mafhoom badal jaata hai
ham ne dekha hai yahi har haasid
apni hi aag mein jal jaata hai
koi maqsad ho ravaabit ka agar
rabt har rukh se badal jaata hai
aur ho jaata hai ehsaas shadeed
naghma jab dard mein dhal jaata hai
zindagi kya tire deewane ki
daaman-e-gham mein bhi pal jaata hai
ab na farmaiye taakheer-e-karam
dekhiye waqt nikal jaata hai
us tarqqi ko salaam ai akhtar
jis mein sab lutf-e-ghazal jaata hai
ग़म तबस्सुम में जो ढल जाता है
ग़म का मफ़्हूम बदल जाता है
हम ने देखा है यही हर हासिद
अपनी ही आग में जल जाता है
कोई मक़्सद हो रवाबित का अगर
रब्त हर रुख़ से बदल जाता है
और हो जाता है एहसास शदीद
नग़्मा जब दर्द में ढल जाता है
ज़िंदगी क्या तिरे दीवाने की
दामन-ए-ग़म में भी पल जाता है
अब न फ़रमाइए ताख़ीर-ए-करम
देखिए वक़्त निकल जाता है
उस तरक़्क़ी को सलाम ऐ 'अख़्तर'
जिस में सब लुत्फ़-ए-ग़ज़ल जाता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Wajidi
our suggestion based on Akhtar Wajidi
As you were reading Jazbaat Shayari Shayari