kya kuchh mila na ham ko mehroomi-e-nazar se | क्या कुछ मिला न हम को महरूमी-ए-नज़र से

  - Akhtar Wajidi

kya kuchh mila na ham ko mehroomi-e-nazar se
kuchh daav mustanad se kuchh zakham mo'tabar se

chhedo na saaz dil ka sahmi hui nazar se
badhti hai be-qaraari taskin-e-mukhtasar se

kitni badal gai hain insaaniyat ki qadren
ham zindagi ke haathon khud zindagi ko tarse

kitni buland himmat hain zindagi ki nazrein
takra rahi hain badh kar ab waqt ki nazar se

kaam aayi apne akhtar deewaangi khud apni
bach bach ke chal rahe hain har ek ki nazar se

क्या कुछ मिला न हम को महरूमी-ए-नज़र से
कुछ दाव मुस्तनद से कुछ ज़ख़्म मो'तबर से

छेड़ो न साज़ दिल का सहमी हुई नज़र से
बढ़ती है बे-क़रारी तस्कीन-ए-मुख़्तसर से

कितनी बदल गई हैं इंसानियत की क़द्रें
हम ज़िंदगी के हाथों ख़ुद ज़िंदगी को तरसे

कितनी बुलंद हिम्मत हैं ज़िंदगी की नज़रें
टकरा रही हैं बढ़ कर अब वक़्त की नज़र से

काम आई अपने 'अख़्तर' दीवानगी ख़ुद अपनी
बच बच के चल रहे हैं हर एक की नज़र से

  - Akhtar Wajidi

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Wajidi

As you were reading Shayari by Akhtar Wajidi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Wajidi

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari