nahin milte jahaan mein zakham-e-pinhan dekhne waale | नहीं मिलते जहाँ में ज़ख़्म-ए-पिन्हाँ देखने वाले

  - Akhtar Wajidi

nahin milte jahaan mein zakham-e-pinhan dekhne waale
bahut mil jaayenge chaak-e-garebaan dekhne waale

khuda jaane ye kya taaseer hai zulf-e-pareshaan mein
pareshaan hain tiri zulf-e-pareshaan dekhne waale

nazar ke hosh ud jaate hain baaz-auqaat ujaale mein
nazar rakhen andhere mein charaaghaan dekhne waale

tumhein toofaan se kya nisbat tumhein saahil pe rahna hai
salaamat hain abhi ham zor-e-toofaan dekhne waale

yahan insaaniyat ki nabz hai bechain rukne ko
khuda jaane kahaan hain nabz-e-dauraan dekhne waale

dil-e-pur-dard mein kuchh daagh raushan ham bhi rakhte hain
idhar aayein zara bazm-e-charaaghan dekhne waale

tasavvur mein safar nazaron ka kis se tay hua akhtar
kahaan hain un ko nazdeek-e-rag-e-jaan dekhne waale

नहीं मिलते जहाँ में ज़ख़्म-ए-पिन्हाँ देखने वाले
बहुत मिल जाएँगे चाक-ए-गरेबाँ देखने वाले

ख़ुदा जाने ये क्या तासीर है ज़ुल्फ़-ए-परेशाँ में
परेशाँ हैं तिरी ज़ुल्फ़-ए-परेशाँ देखने वाले

नज़र के होश उड़ जाते हैं बाज़-औक़ात उजाले में
नज़र रक्खें अंधेरे में चराग़ाँ देखने वाले

तुम्हें तूफ़ाँ से क्या निस्बत तुम्हें साहिल पे रहना है
सलामत हैं अभी हम ज़ोर-ए-तूफ़ाँ देखने वाले

यहाँ इंसानियत की नब्ज़ है बेचैन रुकने को
ख़ुदा जाने कहाँ हैं नब्ज़-ए-दौराँ देखने वाले

दिल-ए-पुर-दर्द में कुछ दाग़ रौशन हम भी रखते हैं
इधर आएँ ज़रा बज़्म-ए-चराग़ाँ देखने वाले

तसव्वुर में सफ़र नज़रों का किस से तय हुआ 'अख़्तर'
कहाँ हैं उन को नज़दीक-ए-रग-ए-जाँ देखने वाले

  - Akhtar Wajidi

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Wajidi

As you were reading Shayari by Akhtar Wajidi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Wajidi

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari