nigaahon hi nigaahon mein ishaare hote jaate hain | निगाहों ही निगाहों में इशारे होते जाते हैं

  - Akhtar Wajidi

nigaahon hi nigaahon mein ishaare hote jaate hain
vo ab aahista aahista hamaare hote jaate hain

jo zaahir husn ke rangeen nazaare hote jaate hain
nigaah-e-shauq mein vo aur pyaare hote jaate hain

khuda rakhe hawadis ko talaatum ko masaib ko
hamaari zindagaani ke sahaare hote jaate hain

tumhaare gham ne aisa ehtiraam-e-gham sikhaaya hai
ki duniya bhar ke gham saare hamaare hote jaate hain

tasalli bhi badi mushkil se milti hai tasavvur mein
galat-fahmi salaamat vo hamaare hote jaate hain

jahaan soz-e-gham-e-furqat fazaa-e-dil ko jhulsa de
wahan khush-rang aansu bhi sharaare hote jaate hain

tire jalwon ne aisi tarbiyat di hai nigaahon ko
nazar mein jazb ab saare nazaare hote jaate hain

gudaaz-e-qalb ki daulat ata ki hai mohabbat ne
bahut shaista tere gham ke maare hote jaate hain

koi shay jal rahi hai ghaliban seene mein ai akhtar
ki mere shabnami aansu sharaare hote jaate hain

निगाहों ही निगाहों में इशारे होते जाते हैं
वो अब आहिस्ता आहिस्ता हमारे होते जाते हैं

जो ज़ाहिर हुस्न के रंगीं नज़ारे होते जाते हैं
निगाह-ए-शौक़ में वो और प्यारे होते जाते हैं

ख़ुदा रक्खे हवादिस को तलातुम को मसाइब को
हमारी ज़िंदगानी के सहारे होते जाते हैं

तुम्हारे ग़म ने ऐसा एहतिराम-ए-ग़म सिखाया है
कि दुनिया भर के ग़म सारे हमारे होते जाते हैं

तसल्ली भी बड़ी मुश्किल से मिलती है तसव्वुर में
ग़लत-फ़हमी सलामत वो हमारे होते जाते हैं

जहाँ सोज़-ए-ग़म-ए-फ़ुर्क़त फ़ज़ा-ए-दिल को झुलसा दे
वहाँ ख़ुश-रंग आँसू भी शरारे होते जाते हैं

तिरे जलवों ने ऐसी तर्बियत दी है निगाहों को
नज़र में जज़्ब अब सारे नज़ारे होते जाते हैं

गुदाज़-ए-क़ल्ब की दौलत अता की है मोहब्बत ने
बहुत शाइस्ता तेरे ग़म के मारे होते जाते हैं

कोई शय जल रही है ग़ालिबन सीने में ऐ 'अख़्तर'
कि मेरे शबनमी आँसू शरारे होते जाते हैं

  - Akhtar Wajidi

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Wajidi

As you were reading Shayari by Akhtar Wajidi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Wajidi

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari