pehle andaaz-e-guftugu aaye | पहले अंदाज़-ए-गुफ़्तुगू आए

  - Akhtar Wajidi

pehle andaaz-e-guftugu aaye
phir koi un ke roo-b-roo aaye

teri yaad aayi is tarah ai dost
teri zulfon ki jaise boo aaye

mujh ko be-saakhta hasi aayi
haadse jab bhi roo-b-roo aaye

jal rahe hain charaagh palkon par
aise aalam mein kaash tu aaye

dhoondhne tujh ko tere kooche mein
kitne hi ahl-e-justujoo aaye

paaki-e-zehn-o-dil hi sab kuchh hai
vaise kitne hi ba-wazoo aaye

be-gharz tere dar pe kaun aaya
sab asiraan-e-aarzoo aaye

mil gai hai nigaah saaqi se
daur mein saagar-o-suboo aaye

doob kar teri yaad mein akhtar
har bulandi ko ham bhi choo aaye

पहले अंदाज़-ए-गुफ़्तुगू आए
फिर कोई उन के रू-ब-रू आए

तेरी याद आई इस तरह ऐ दोस्त
तेरी ज़ुल्फ़ों की जैसे बू आए

मुझ को बे-साख़्ता हँसी आई
हादसे जब भी रू-ब-रू आए

जल रहे हैं चराग़ पलकों पर
ऐसे आलम में काश तू आए

ढूँडने तुझ को तेरे कूचे में
कितने ही अह्ल-ए-जुस्तुजू आए

पाकी-ए-ज़ेहन-ओ-दिल ही सब कुछ है
वैसे कितने ही बा-वज़ू आए

बे-ग़रज़ तेरे दर पे कौन आया
सब असीरान-ए-आरज़ू आए

मिल गई है निगाह साक़ी से
दौर में साग़र-ओ-सुबू आए

डूब कर तेरी याद में 'अख़्तर'
हर बुलंदी को हम भी छू आए

  - Akhtar Wajidi

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Wajidi

As you were reading Shayari by Akhtar Wajidi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Wajidi

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari