subh-e-nau koi dam mein jagmagane waali hai
raat se na ghabraao raat jaane waali hai
baagbaan ke tevar se jhaankte hain andeshe
fasl-e-gul na jaane kya gul khilaane waali hai
kitne haadson ko ham kar chuke hain sharminda
zindagi hamein kab tak aazmaane waali hai
zindagi ko nafrat ka zahar kyun pilaate ho
zindagi mohabbat ke geet gaane waali hai
un ki chashm-e-mast akhtar tishnagaan-e-ulfat ko
mast karne waali hai ras pilaane waali hai
सुब्ह-ए-नौ कोई दम में जगमगाने वाली है
रात से न घबराओ रात जाने वाली है
बाग़बाँ के तेवर से झाँकते हैं अंदेशे
फ़स्ल-ए-गुल न जाने क्या गुल खिलाने वाली है
कितने हादसों को हम कर चुके हैं शर्मिंदा
ज़िंदगी हमें कब तक आज़माने वाली है
ज़िंदगी को नफ़रत का ज़हर क्यों पिलाते हो
ज़िंदगी मोहब्बत के गीत गाने वाली है
उन की चश्म-ए-मस्त 'अख़्तर' तिश्नगान-ए-उल्फ़त को
मस्त करने वाली है रस पिलाने वाली है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Wajidi
our suggestion based on Akhtar Wajidi
As you were reading I love you Shayari Shayari