manzil-e-dil mili kahaan khatm-e-safar ke baad bhi | मंज़िल-ए-दिल मिली कहाँ ख़त्म-ए-सफ़र के बाद भी

  - Ali Jawwad Zaidi

manzil-e-dil mili kahaan khatm-e-safar ke baad bhi
raahguzaar ek aur thi raahguzar ke baad bhi

aaj tire sawaal par phir mere lab khamosh hain
aisi hi kashmakash thi kuchh pehli nazar ke baad bhi

dil mein the laakh vasvase jalwa-e-aftaab tak
rah gai thi jo teergi noor-e-sehar ke baad bhi

naaseh-e-maslahaat-nawaaz tujh ko bataaun kya ye raaz
hausla-e-nigaah hai khoon-e-jigar ke baad bhi

haar ke bhi nahin mitti dil se khalish hayaat ki
kitne nizaam mit gaye jashn-e-zafar ke baad bhi

koi mera hi aashiyaan haasil-e-fasl-e-gul na tha
haan ye bahaar hai bahaar raqs-e-sharar ke baad bhi

ek tumhaari yaad ne laakh diye jalaae hain
aamad-e-shab ke qibl bhi khatm-e-sehar ke baad bhi

मंज़िल-ए-दिल मिली कहाँ ख़त्म-ए-सफ़र के बाद भी
रहगुज़र एक और थी राहगुज़र के बाद भी

आज तिरे सवाल पर फिर मिरे लब ख़मोश हैं
ऐसी ही कशमकश थी कुछ पहली नज़र के बाद भी

दिल में थे लाख वसवसे जल्वा-ए-आफ़्ताब तक
रह गई थी जो तीरगी नूर-ए-सहर के बाद भी

नासेह-ए-मस्लहत-नवाज़ तुझ को बताऊँ क्या ये राज़
हौसला-ए-निगाह है ख़ून-ए-जिगर के बाद भी

हार के भी नहीं मिटी दिल से ख़लिश हयात की
कितने निज़ाम मिट गए जश्न-ए-ज़फ़र के बाद भी

कोई मिरा ही आशियाँ हासिल-ए-फ़स्ल-ए-गुल न था
हाँ ये बहार है बहार रक़्स-ए-शरर के बाद भी

एक तुम्हारी याद ने लाख दिए जलाए हैं
आमद-ए-शब के क़ब्ल भी ख़त्म-ए-सहर के बाद भी

  - Ali Jawwad Zaidi

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Jawwad Zaidi

As you were reading Shayari by Ali Jawwad Zaidi

Similar Writers

our suggestion based on Ali Jawwad Zaidi

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari