apni deewaar apne dar waale
ham saba-zaad the sehar waale
ye udaanen paron pe likhi hain
ham parinde nahin shajar waale
khul raha hai shigaaf-e-subh-e-falak
shab ke waqfe nahin hain dar waale
kya khuda aayega zameen par ab
kho gaye kis jagah hunar waale
mil bhi jaate to ruk nahin paate
ham safar waale tum safar waale
अपनी दीवार अपने दर वाले
हम सबा-ज़ाद थे सहर वाले
ये उड़ानें परों पे लिखी हैं
हम परिंदे नहीं शजर वाले
खुल रहा है शिगाफ़-ए-सुब्ह-ए-फ़लक
शब के वक़्फ़े नहीं हैं डर वाले
क्या ख़ुदा आएगा ज़मीं पर अब
खो गए किस जगह हुनर वाले
मिल भी जाते तो रुक नहीं पाते
हम सफ़र वाले तुम सफ़र वाले
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Ali Moin
As you were reading Shajar Shayari Shayari