aaya hai magar ishq mein dildaar hamaara | आया है मगर इश्क़ में दिलदार हमारा - Alimullah

aaya hai magar ishq mein dildaar hamaara
har tan mein hua jaan har ik jism ka nyaara

be-misl us ke husn ko kahte hain do-aalam
dista hai har ik khalk ko apne soon piyaara

man-kaan na ho yaar ke darsan ko na jaane
aaya nahin kui phir ke jahaan beech dobara

us sham-e-dar-khshan ko apas saath tu le ja
var nahin to qabar beech hai zulmaat andhaara

karne mein jama zar ke ganwaata hai umar kyun
aakhir ko nikal jaayega sab chhod zaraara

farzand-o-azeezaan sakal khwesh qabeela
duniya hai dagaabaaz nahin koi tumhaara

behad hai aleem ishq ke taaleem ka toomaar
paaya nahin kui ishq ke dariya ka kinaara

आया है मगर इश्क़ में दिलदार हमारा
हर तन में हुआ जान हर इक जिस्म का न्यारा

बे-मिस्ल उस के हुस्न को कहते हैं दो-आलम
दिस्ता है हर इक ख़ल्क़ को अपने सूँ पियारा

मन-कान न हो यार के दरसन को न जाने
आया नहीं कुइ फिर के जहाँ बीच दोबारा

उस शम-ए-दरख़्शाँ को अपस साथ तू ले जा
वर नहिं तो क़बर बीच है ज़ुल्मात अँधारा

करने में जमा ज़र के गँवाता है उमर क्यूँ
आख़िर को निकल जाएगा सब छोड़ ज़रारा

फ़रज़ंद-ओ-अज़ीज़ान सकल ख़्वेश क़बीला
दुनिया है दग़ाबाज़ नहीं कोई तुम्हारा

बेहद है 'अलीम' इश्क़ के तालीम का तूमार
पाया नहीं कुइ इश्क़ के दरिया का किनारा

- Alimullah
0 Likes

Bhai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alimullah

As you were reading Shayari by Alimullah

Similar Writers

our suggestion based on Alimullah

Similar Moods

As you were reading Bhai Shayari Shayari