ab talak haq nahin pachhaane waah-waah | अब तलक हक़ नहिं पछाने वाह-वाह - Alimullah

ab talak haq nahin pachhaane waah-waah
jaan ko apni na jaane waah-waah

tum jo karte ho farz roza namaaz
mahaj aalam ko dikhaane waah-waah

muft khoi umr daane ghaans mein
phir kahaate ho siyaane waah-waah

maal-o-zar farzand ki rakh kar talab
ho rahe haq soon aghaane waah-waah

haq ki khilqat mein magar paida hue
tum mahaj khaane pakaane waah-waah

khopdi ulti undhi ke haath soon
ainth chalte ho utaane waah-waah

hain yagaane aqrabaan khweshaan sati
aap apne soon begaane waah-waah

poochte hain sab nafa nuksaan ko
sar diye paisa kamaane waah-waah

aashiqan ko bolte hain ai aleem
khalk duniya ke deewane waah-waah

अब तलक हक़ नहिं पछाने वाह-वाह
जान को अपनी न जाने वाह-वाह

तुम जो करते हो फ़रज़ रोज़ा नमाज़
महज़ आलम को दिखाने वाह-वाह

मुफ़्त खोई उम्र दाने घांस में
फिर कहाते हो सियाने वाह-वाह

माल-ओ-ज़र फ़रज़ंद की रख कर तलब
हो रहे हक़ सूँ अघाने वाह-वाह

हक़ की ख़िल्क़त में मगर पैदा हुए
तुम महज़ खाने पकाने वाह-वाह

खोपड़ी उल्टी उंधी के हाथ सूँ
ऐँठ चलते हो उताने वाह-वाह

हैं यगाने अक़रबाँ ख़्वेशाँ सती
आप अपने सूँ बेगाने वाह-वाह

पूछते हैं सब नफ़ा नुक़सान को
सर दिए पैसा कमाने वाह-वाह

आशिक़ाँ को बोलते हैं ऐ 'अलीम'
ख़ल्क़ दुनिया के दिवाने वाह-वाह

- Alimullah
0 Likes

Mehboob Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alimullah

As you were reading Shayari by Alimullah

Similar Writers

our suggestion based on Alimullah

Similar Moods

As you were reading Mehboob Shayari Shayari