abas kyun umr sone mein ganwaaya | अबस क्यूँ उम्र सोने में गँवाया - Alimullah

abas kyun umr sone mein ganwaaya
jo koi jaaga so apne piw ko paaya

musaafir raah par sona bhala nahin
jo koi soya wahi hasrat lajaaya

jatan hoshyaar le ja maal aur dhan
jahaan mein aa ke tu jo kuchh kamaaya

agar koi so rahe rah mein khatra ke
ganwaaya maal apne ko khapaya

aleemullah sota tha khwaab mein mast
kareem apna karam kar kar jagaaya

अबस क्यूँ उम्र सोने में गँवाया
जो कोई जागा सो अपने पिव को पाया

मुसाफ़िर राह पर सोना भला नहीं
जो कोई सोया वही हसरत लजाया

जतन होश्यार ले जा माल और धन
जहाँ में आ के तू जो कुछ कमाया

अगर कोई सो रहे रह में ख़तर के
गँवाया माल अपने को खपाया

'अलीमुल्लाह' सोता था ख़्वाब में मस्त
करीम अपना करम कर कर जगाया

- Alimullah
0 Likes

Hasrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alimullah

As you were reading Shayari by Alimullah

Similar Writers

our suggestion based on Alimullah

Similar Moods

As you were reading Hasrat Shayari Shayari