apne se be-samajh ko haq ki kahaan pachhaanat | अपने से बे-समझ को हक़ की कहाँ पछानत - Alimullah

apne se be-samajh ko haq ki kahaan pachhaanat
man-arfa ko na bujha qad-arfa soon jihaalat

hai farz bujh awwal apna piche khuda ko
be-bujh bandagi hai sab ranj aur malaamat

jannat ki tu mazdoori bujha hai bandagi ko
bakshish nahin hai hargiz juz lutf aur inaayat

hirs-o-hawaa mein pad kar haq soon hua hai baatil
phir maangata hai jannat kya nafs-e-bad-khasalat

bin qalb ki huzoori manzoor kyun padega
roza namaaz rasmi sajda sujood taaat

maabood ke muqaabil aabid ko abdiyat hai
ghaibat mein chup rijhaana kya mahaj hai khaalat

tan nafs aur dil rooh sar noor-e-zaat mil kar
apne mein haq ko paana hai afzalulibaadat

bin peer ke khuda ko paaya na koi hargiz
kaamil ko kyun pachhaane be-sidq o be-hidaayat

nahin hai aleem ko sach taqwa amal pe apne
deedaar ka sanam ke kaafi hai istiqaamat

अपने से बे-समझ को हक़ की कहाँ पछानत
'मन-अरफ़ा' को न बूझा 'क़द-अरफ़ा' सूँ जिहालत

है फ़र्ज़ बूझ अव्वल अपना पिछे ख़ुदा को
बे-बूझ बंदगी है सब रंज और मलामत

जन्नत की तू मज़दूरी बूझा है बंदगी को
बख़्शिश नहीं है हरगिज़ जुज़ लुत्फ़ और इनायत

हिर्स-ओ-हवा में पड़ कर हक़ सूँ हुआ है बातिल
फिर माँगता है जन्नत क्या नफ़्स-ए-बद-ख़सालत

बिन क़ल्ब की हुज़ूरी मंज़ूर क्यूँ पड़ेगा
रोज़ा नमाज़ रस्मी सज्दा सुजूद ताअत

माबूद के मुक़ाबिल आबिद को अबदियत है
ग़ीबत में चुप रिझाना क्या महज़ है ख़जालत

तन नफ़्स और दिल रूह सर नूर-ए-ज़ात मिल कर
अपने में हक़ को पाना है अफ़ज़लुलइबादत

बिन पीर के ख़ुदा को पाया न कोई हरगिज़
कामिल को क्यूँ पछाने बे-सिदक़ ओ बे-हिदायत

नहिं है 'अलीम' को सच तक़्वा अमल पे अपने
दीदार का सनम के काफ़ी है इस्तक़ामत

- Alimullah
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alimullah

As you were reading Shayari by Alimullah

Similar Writers

our suggestion based on Alimullah

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari